Namaz e janaza ka tarika – Complete Guide

Namaz e janaza musalmano ki taraf sy ki janai wali namaz hain. Jab un mai sy kese ki mot ho jaye tho musalman uska namaz e janaza ada karte hain. yaha namaz e janaza ada karnay ki tarika marhala war  tafsele sy maujod hain.

Namaz e Janaza ka tareqa ke leye marhalawar Guide

 

Marhala 1: Apne app ko pak kare

Namaz e janaza ada karne sy pehle wadu (ablution) kar k janazgah aye.

Marhala 2: Niyat(نیت)

Qibla ki taraf mou kar k sedha kary rahu aur mayat ki namaz e janaza karne ki niyat (نیت) kare.

Marhala 3: Takbeer-e-ullah

Apny hatoho ko kano tak ley jay aur takbeer (اللہ اکبر) paray. Takbeer-e-ullah ka matlab hain k Allah sab sy bara hain.

Marhala 4: Sanah

Tarjumah: A Allah tere paki aur tere hamad sy tuje yad karta hoon. Tera naam babarkat hain. tere shan buland hain. Aur tere tareef bari hain aur tere siwa koi mabood nahi.

Marhala 5: Darood Sharif

Tarjumah: A Allah Hazrat Muhammad (SAW) aur Hazrat Muhammad (SAW) ki all par rehmat bejh. Jes tarha app ny rehmat bejhe aur salam bejha aur barkat di aur merobani ki aur reham kia Hazrat Ibrahim (SAW) Aur Hazrat Ibrahim (SAW) ki all par. Beshak app nihayat taref wala aur buzurg hain.

Marhala 6: Balig Mard Ya Balig Aurat ki Dua

Tarjumah: A Allah baksh de hamare har zinda aur har mayat ko aur hamare har hazir aur har gher hazir ko aur hamari har chote aur barai ko aur hamari har mard aur aurat ko Allah app hum mai sy jis ko zinda rakhe app us ko islam par zinda rakh. Aur hum mai sy jis ko mot dy tho us ko iman ka mot dy.

Marhala 7: Na Balig Larky ki Dua

Tarjumah: A Allah is larkay ko agay bej kar hamari liye saman wala bana dy aur is hamari ley ajar ka aur waqt par kam aney wala bana dy aur hamari leye sefaresh karny wala bana dy jis ki sefarish manzor ho jaye.

Marhala 8: Na Balig Larki ki Dua

Tarjumah: A Allah is larki ko agay bej kar hamari leye saman wale bana dy aur isko hamari leye ajar aur waqt par kam ani wale bana dy. Aur isko hamari leye sefarish kane wale bana dy aur wo jis ki sefarish manzoor ho jayi.

Marhala 9: Salam

Tarjumah: Salam aur Allah ki rehmat ho tum par.

Let’s Speak With Experts