Blog

Wadu ka Tarika

Wadu aik rukan hain jo musalmano ki taraf sy namaz sy pehle ya Quran majeed parny sy pehle kia jata hain. Wadu islami ibadat ka aik lazmi hisa hain aur isy rohani safai samjha jata hain.

Is mazmoon (Article) main hum wadu ka tarika  tafsel sy goftago karainge.

Wadu ka Tarika

Wadu karny main marahil ka aik makhsoos tarteeb shamil hoti hain. Jo darjazel hain.

1. Wadu ki Niyat Karna

Wadu karny ka pehla marhala namaz ya kise ibadat k liye apne app ko paak karny ki niyat karna hain. Wadu ki amal ko kholus dil sy anjam deny ki niyat aik zeheni azam hain.

2. Bismillah Kehna

Wadu shoro karny sy pehle bismillah kehna mustahab (مستحب) hain. jis ka matlab hain Allah ki naam sy shoro karta hoon.

3. Haatho ko Dhoi

Dono haatho ko kalai tak dhoi.

4. Khuli kary

3 bar khuli kary aur miswak kary.

5. Naak saf kary

3 bar naak main pani chrhay aur bhy hat sy naak saf kary.

6. Muuh Dhoi

Muuh is trah dhoi ka peshani ka balon sy le kar thori ka neche tak dono kano ke lo tak koi jaga khusk na rahian. Aur agar dhari ho tho khilala kare.

7. Bazo Dhoi

3 bar dono hatho ko bazo tak dhoi. Pehle dhai hath ko phir bhai hath ko.

8. Sar ka Masah Kary

Dono hatho ko pani sy tar kar ky pori sar ka masah is tarah kare k peshani ky balon se dono hath ki 3 ungliyan perta howa ghadi tak ly gai aur phir ghadi sy hateliyan pertha howa wapis laiy. Phir shahadat ki ungli sy kan ke androni hisa aur angote se kan ki beroni satha aur ungliyon se ghardan ka masah kary.

9. Paon ko Dhoi

Paon ko dhoi aur ungliyon ka khilal kary. Pehle dhai paon ko takhno tak dhoi pher bhai paon ko takhno tak dhoi.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *